paniyon mein rasta shoalon mein ghar dekhega kaun ai guman-e-khush-nazar ab ke udhar dekhega kaun chashm-e-pur-nam soz-e-dil apni jagah lekin yahan mausam-e-sar-sabz mein raqs-e-sharar dekhega kaun is sadi se us sadi tak rishte-nate dosti pichhe kya kya rah gaya hai laut kar dekhega kaun dirham-o-dinar hain inam hijrat ka magar ghar se gar sab hi chale jaen to ghar dekhega kaun