mila to manzil-e-jaan mein utarne na diya wo kho gaya to kisi ne pukarne na diya rawan dawan hai yunhi kashti-e-zaman ab bhi magar wo lamha jo dil ne guzarne na diya lagi thi jaan ki bazi bisat ulat dali ye khel bhi hamein yaron ne haarne na diya koi sada mere sabr-o-sukut se na uthi koi maza tere qaul-o-qarar ne na diya wahi ilaj-e-shab-e-sakhti-e-khizan tha 'zafar' jo ek phul kisi nau-bahaar ne na diya