milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko ayan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai hamein jun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko na tanha kuchh yahi atfal dushman hain diwanon ke bhare hai koh bhi dekha to yan pattharon se daman ko jhamakte hain sitaron ki tarah surakh hasti ke chhupaya go ki jun khurshid mein dagh-e-numayan ko na wajib hi kaha jawe na sadiq mumtana us par kiya tashkhis kuchh hum ne na hargiz shakhs-e-imkan ko