mizhgan-e-tar hun ya rag-e-tak-e-burida hun jo kuchh ki hun so hun gharaz aafat-rasida hun khinche hai dur aap ko meri farotani uftada hun pa saya-e-qadd-e-kashida hun har sham misl-e-sham hun main tira-rozgar har subh misl-e-subh gareban-darida hun karti hai bu-e-gul tu mere sath ikhtilat par aah main to mauj-e-nasim-e-dazida hun tu chahti hai to tapish-e-dil ki baad-e-marg kunj-e-mazar mein bhi na main aarmida hun ai 'dard' ja chuka hai mera kaam zabt se main gham-zada to qatra-e-ashk-e-chakida hun