mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile ki jaise ajnabi koi ek ajnabi se mile qadam qadam pe khulus-e-wafa ka zikr kiya adu mile bhi to kis husn-e-sadgi se mile sitam karo bhi to andaz-e-munsifi se karo koi saliqa to unwan-e-dosti se mile teri talash mein nikle the tere diwane har ek mod pe khud apni zindagi se mile wo log apni hi zanjir-e-pa ke qaidi hain jinhen nishan-e-safar bhi teri gali se mile chalo ki tark-e-talluq ki baat khatm hui na tum khushi se mile ho na hum khushi se mile