mile to kash mera hath tham kar le jae wo apne ghar na sahi mujh ko mere ghar le jae butan-e-shahr tumhaare larazte hathon mein koi to sang ho aisa ki mera sar le jae diya karunga yunhi tere nam ki dastak mera nasib mujhe lakh dar-ba-dar le jae wo aadmi ho ki khushbu bahut hi ruswa hai hawa-e-shahr jise apne dosh par le jae mere qarib se guzre to ahl-e-dil bole utha ke kaun parinda lahu mein tar le jae palat ke aae to shayad na kuchh dikhai de wo ja raha hai to 'asim' meri nazar le jae