zalim se mustafa ka amal chahte hain log sukhe hue darakht se phal chahte hain log kafi hai jin ke waste chhota sa ek makan puchhe koi to shish-mahal chahte hain log sae ki mangte hain rida aaftab se patthar se aaine ka badal chahte hain log kab tak kisi ki zulf-e-pareshan ka tazkira kuchh apni uljhanon ka bhi hal chahte hain log bar-e-gham-e-hayat se shane hue hain shal ukta ke zindagi se ajal chahte hain log rakhte nahin nigah taqazon pe waqt ke talab ke baghair kanwal chahte hain log jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukun kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log darkar hai najat gham-e-rozgar se mirrikh chahte hain na zuhal chahte hain log 'ejaz' apne ahd ka main tarjuman hun main jaanta hun jaisi ghazal chahte hain log