mili hai dard ki neamat nishat-e-jaan ke liye

mili hai dard ki neamat nishat-e-jaan ke liye
na aah-o-nala ki khatir na kuchh fughan ke liye

na kuchh zamin ke liye hai na kuchh zaman ke liye
na kuchh makin ke liye hai na kuchh makan ke liye

na ilm-o-fazl ki baaten na ilm-o-fazl mein dakhl
na kuchh adab ke liye hai na kuchh bayan ke liye

hazar tarah ke saman hayat-e-fani mein
kiye hain jama kisi ne to phir kahan ke liye

shua-e-barq-o-sharar chun ke hum ne rakkhi hai
nihaal-e-khushk pa tamir-e-ashiyan ke liye

tumhein na hai koi nisbat meri kahani se
tumhaara nam to hai zeb-e-dastan ke liye

zaban pe aa hi gaya jab ki tera nam-e-jamil
dahan-e-nutq ne bose meri zaban ke liye

nahin majal-e-sukhan us ke ru-ba-ru 'arshad'
kahan se laun main tab-o-tawan zaban ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close