yun na barbaad ho khuda koi haal-e-dil sun ke ro diya koi aankh se kyon tapak pada aansu dil ka tuta hai aabla koi dard-e-dil hai bahut hi jaan-gusil dard-e-dil ki nahin dawa koi koi tadbir ban nahin pati kaam karti nahin dua koi us ki khafagi ki jab khabar aai jaan se ho gaya khafa koi rasm duniya ki ye purani hai bewafa hai to ba-wafa koi ishq ke marhale kathin hain bahut ho saka tai na marhala koi rah-e-ulfat bahut hai pechida ibtida hai na intiha koi main mohabbat mein jaan de dunga mujh pe karta rahe jafa koi khanjar-e-chashm pe hai naz use khun-e-dil mein naha gaya koi airon ghairon pe hai nigah-e-karam hai na 'arshad' se wasta koi