mili hai kaise gunahon ki ye saza mujh ko daraata rahta hai apna hi aaina mujh ko main kis fasane ka hissa hun kah nahin sakta wajud apna bhi lagta hai waqia mujh ko ab aasman ki chalo had talash ki jae bula raha hai sitaron ka qafila mujh ko main kaenat pe apni nigah dalta hun tere khayal ki milti hai jab ziya mujh ko salam karta hun ranai-e-hayat tujhe ab aur koi tamasha nahin dikha mujh ko teri khamoshi mein muzmar hai mera raaz-e-sukhan ki be-zaban na kar de teri sada mujh ko wahi azim hai jo bantta ho dard-e-wajud usi ke wasl ka 'rashid' hai aasra mujh ko