mili kya khak rahat kunj-e-marqad mein nihan ho kar zamin-e-gor sar par phir rahi hai aasman ho kar chhuri gardan pe qatil pherta hai shadman ho kar nikalta hai mera dam aarzu-e-dushmanan ho kar hamare qatl karne ka na tha us shokh ka mansha ubhaara tegh aur khanjar ne kaisa ham-zaban ho kar uda le chal hawa-e-shauq aage sab se manzil par raha jata hun pichhe main to gard-e-karwan ho kar faqir-e-mast wo hun main agar kuchh mauj aa jae abhi mai-khana se kashti-e-mai aae rawan ho kar ayan aasar hain ye aamad-e-fasl-e-bahaari ke gareban aa raha daman mein mere dhajjiyan ho kar