kya bataun be-tire kaisa raha ye samajh mar mar ke main jita raha chaudhwin ki raat mein nikla jo chand mujh ko pahron aap ka dhoka raha bhul kar bhi tum ko kuchh aaya na dhyan marne wala mar gaya jita raha kis liye auron se ho tum puchhte dekh lo ab aa ke mujh mein kya raha ji gaya to main ye samjha ji gaya jite ji ka rog tha jata raha kya lagaya hath dhad se aap ne panw par sar kat ke dhad se aa raha rakh gae do phul mere dher par mar gae par bojh ye un ka raha main hi ek kanta tha so main bhi nahin sach hai ab kis ka unhen khatka raha