milne ki tarah mujh se wo pal bhar nahin milta dil us se mila jis se muqaddar nahin milta ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna is rah mein sar milte hain patthar nahin milta ham-rangi-e-mausam ke talabgar na hote saya bhi to qamat ke barabar nahin milta kahne ko gham-e-hijr bada dushman-e-jaan hai par dost bhi is dost se behtar nahin milta kuchh roz 'nasir' aao chalo ghar mein raha jae logon ko ye shikwa hai ki ghar par nahin milta