qalam ho jae sar parwa na karna amir-e-shahr ko sajda na karna kiya tark-e-talluq tum ne behtar magar us ka kahin charcha na karna mujhe turbat mein az-had aafiyat hai masiha ab mujhe zinda na karna badhata hai kasal duri-e-manzil khayal-e-wusat-e-sahra na karna kathin ho jaegi manzil-shanasi kabhi maskh un ka naqsh-e-pa na karna mohabbat mein ye hai dastur-e-duniya zara si baat ko ifsha na karna ye hai ab ek tariqa guftugu ka kisi ke samne lab wa na karna tumhaare munh pe wo sach bol dega muqabil apne aaina na karna munasib hai ki 'ajiz' tauba kar lo na tazhik-e-mai-o-mai-khana karna