milta hai har charagh ko saya zamin par rahta nahin hai koi akela zamin par har ek naqsh us ka hawa le ke ud gai khincha tha hum ne shauq ka naqsha zamin par badle hue se lagte hain ab mausamon ke rang padta hai aasman ka saya zamin par gosha zara sa koi aman ka kahin mile ji tang ho gaya hai kushada zamin par har ek mauj ruk si gai sans ki tarah bahta nahin hai ab kahin dariya zamin par wo jin ko mere ghar ka nishan bhi nahin mila hairan hain mujh ko dekh ke zinda zamin par