wahm koi guman mein tha hi nahin naqsh apna nishan mein tha hi nahin mujh se mansub ho gaya kyun kar wo jo mere bayan mein tha hi nahin log kaise mera yaqin karte jhut mere bayan mein tha hi nahin chor aaya gaya bhi khali hath main to apne makan mein tha hi nahin bas purani ghisi-piti baaten rang taza bayan mein tha hi nahin phiki phiki bahaar guzri hai rang apna khizan mein tha hi nahin hum ne sun kar bhi an-suni kar di kuchh tassur azan mein tha hi nahin mere sar ke liye jo ho mauzun sang wo aastan mein tha hi nahin der se khamushi hai khema-zan shor kya karwan mein tha hi nahin aa raha tha zamin ki jaanib waswasa aasman mein tha hi nahin