milta hai mauj mauj mujhe tu kabhi kabhi ubhra hai tera aks lab-e-ju kabhi kabhi pate hain kuchh gulab thikanon mein parwarish aati hai pattharon se bhi khushbu kabhi kabhi ye bhi hua ki aankh bhi pathra gai meri palkon pe jam gae mere aansu kabhi kabhi rakh subh-o-sham shana-e-tadbir hath mein haalat ke bikharte hain gesu kabhi kabhi ye bhi hai ek sitam teri qurbat ke bawajud milta nahin sukun kisi pahlu kabhi kabhi bhatki meri nigah bhi teri talash mein aansu bane hain aankh mein aahu kabhi kabhi main sang-e-dil nahin hun magar is ke bawajud chalta hai mujh pe husn ka jadu kabhi kabhi shabnam ba-dosh aa ke mujhe hausla bhi de baad-e-saba ki tarah mujhe chhu kabhi kabhi 'nasir' meri ghazal ko bahaaron ka bankpan deti hai us ki jumbish-e-abru kabhi kabhi