dar nahin mujh ko gunahon ki giran-bari ka teri rahmat hai sabab meri subuksari ka dar ne ek sag-e-duniya ko ye bakhsha hai uruj hai farishton mein bhi charcha meri din-dari ka dil o jaan saunp chuke hum tujhe ai jaan-e-jahan ab hamein khauf hi kya apni giraftari ka jaan bhi chiz hai koi ki rakhen tum se daregh pas itna bhi na ho rasm-e-wafadari ka saqiya sab ko teri ek nazar kafi thi tha kise hosh tere ahd mein hushyari ka main fida aaj bhi ho jae wahi ek nigah khatma ho kahin is daur ki khuddari ka aashiqon ke liye hai dar hi daru-e-shifa ishq ki tib mein dawa nam hai bimari ka ajal istada hai baalin pe mariz-e-gham-e-ishq aankh to khol zara waqt hai bedari ka 'jauhar' aur hajib o darban ki khushamad kya khub arsh o kursi pe guzar hai tere darbari ka