milta nahin mizaj khud apni ada mein hai teri gali se aa ke saba bhi hawa mein hai ai ishq teri dusri manzil bhi hai kahin marna hai ibtida mein to kya intiha mein hai lati hai jab saba to chamakte hain baam-o-dar ye raushni si kya teri bu-e-qaba mein hai har rahguzar nishan hai teri samt ka magar iqrar-e-na-rasi bhi har ek naqsh-e-pa mein hai tausif-e-husn asl mein hai wasf-e-husn-e-saz bandon se jis ko pyar hai yaad-e-khuda mein hai ye tishnagi ye pas-e-wafa ye hujum-e-gham kya karwan-e-shauq kisi karbala mein hai sun kar ki 'hosh' ne bhi kiya tark-e-arzu kohram ek macha hua shahr-e-wafa mein hai