zamin bichha ke alag aasman banaun koi zaman makan se pare ab jahan banaun koi tamam umr chale mere sath tanhai gharaz hi kya hai mujhe karwan banaun koi kisi khushi ko nahin hai agar sabaat yahan main sochta hun ki gham jawedan banaun koi ye dasht-e-dil ki jahan ret udti hai shab o roz tere liye yahin mauj-e-rawan banaun koi jo aisi wahshat-e-jaan hai sar-e-yaqin-o-sabaat so kyun na wahm tarashun guman banaun koi thaharna kab hai mujhe reg-zar-e-duniya mein so kya padi hai yahan aastan banaun koi