milte nahin ho hum se ye kya hua watira milne laga hai shayad ab tum se koi khira aankhon hi mein udaya naqd-e-dil-o-jigar ko wo shokh dil-ruba hai kaisa athai-gira ulfat ka jurm be-shak sarzad hua hai hum se is ko saghira samjho chahe ise kabira maidan-e-hashr tera kucha bana hai qatil jata hai ab jo koi aata hai qasharira girwida kar liya hai nairagi-e-nazar ne kaisi hui fusun-gar wo shokh chashm-e-gira us shokh dil-ruba par kyunkar na hon fida hum saj-dhaj hui nirali bandha jo us ne chira minnat-pazir us ke aakhir ko ho gae hum jo muddaa tha apna us ne kiya pazira shaghil jo ho gae hain mahmud aaqibat hain sultana shaghl-e-shab hai din ka hua nasira the shefta jo 'saqi' ek mast-e-nosh lab ke maikhane hi ke andar apna bana khatira