milti hai mujh ko lazzat us yaad ki chubhan se ghurbat mein aae jaise apna koi watan se guzra hai shokh koi lahra ke sehn-e-dil se ek bhini bhini khushbu jati nahin badan se duniya ki thokaron mein rakkha gaya hai jis ko aati hai us ki khushbu phulon ke pairahan se kyari mein khun dala pauda lagaya jis ne wo hi nikal gaya hai kashana-e-chaman se jab hum ne baat chhedi mahfil hui charaghan har shai ne dad mangi zakhmon ki anjuman se mahfil mein aa gae hain aur surakh-ru bhi honge eazaz bhi milega 'bano' ko husn-e-zan se