mir-e-mahfil na hue garmi-e-mahfil to hue

mir-e-mahfil na hue garmi-e-mahfil to hue
shama-e-taban na sahi jalta hua dil to hue

na sahi khak ke putlon mein sifat-e-malaki
bare is bar-e-wafa ke mutahammil to hue

hausle dil ke mohabbat mein jo piste hi rahe
kar ke himmat tere ghamzon ke muqabil to hue

purshis-e-gham-zadagan bahr-e-tafannun hi sahi
khair se aap bhi is bazm mein shamil to hue

be-asar aah se bhi itni tasalli hai zarur
munh taka karte the jo wo kisi qabil to hue

aan rakh li teri shamshir-e-ada ki yun bhi
jin ko marna nahin aata tha wo bismil to hue

sanad-e-sabr sahi pak dilon ke nasur
aise maqtul bhi ek tarah ke qatil to hue

rashk-e-dushman ki talafi ko ye pahlu nahin kam
gham-e-jaan-kah-e-mohabbat ke wo qatil to hue

khud se dukh mol len ye kaam kuchh aasan na tha
kha ke ek chot maze dard ke hasil to hue

khud-kushi mein to khalal 'arzu' aaya lekin
hath un ke meri gardan mein hamail to hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close