band-e-qaba ko khuban jis waqt wa karenge khamyaza-kash jo honge milne ke kya karenge rona yahi hai mujh ko teri jafa se har-dam ye dil-dimagh donon kab tak wafa karenge hai din sar ka dena gardan pe apni khuban jite hain to tumhaara ye qarz ada karenge darwesh hain hum aakhir do-ik nigah ki rukhsat goshe mein baithe pyare tum ko dua karenge aakhir to roze aae do-chaar roz hum bhi tarsa bachon mein ja kar daru piya karenge kuchh to kahega hum ko khamosh dekh kar wo is baat ke liye ab chup hi raha karenge aalam mere hai tujh par aai agar qayamat teri gali ke har-su mahshar hua karenge daman-e-dasht sukha abron ki be-tahi se jangal mein rone ko ab hum bhi chala karenge lai teri gali tak aawargi hamari zillat ki apni ab hum izzat kiya karenge ahwal-e-'mir' kyunkar aakhir ho ek shab mein ek umr hum ye qissa tum se kaha karenge