fikr o ehsas ke tapte hue manzar tak aa mere lafzon mein utar kar mere andar tak aa kahin aisa na ho ruk jaen qalam ki sansen ai meri jaan-e-ghazal apne sukhan-war tak aa warna khwabon ki tapish tujh ko jala dalegi meri jagi hui nindon ke samundar tak aa sard kamre ki sulagti hui tanhai mein meri sanson se nikal kar mere bistar tak aa dar-o-diwar moattar hon teri khushbu se dil mein mat aa magar ek bar mere ghar tak aa us se kahna hai 'salim' agli mulaqat mein ye khwab ban kar kabhi aankhon ke muqaddar tak aa