'mir' ki sadgi bayan mein rakh 'dagh' ki dil-kashi zaban mein rakh dusron ko bhi raushni pahunche yun diya ghar ke darmiyan mein rakh amn aur sulh-o-ashti kya hai ye sawalat imtihan mein rakh apne purkhon ke karnamon ke kuchh hawale bhi dastan mein rakh nekiyan ab na dal dariya mein hum faqiron ki baat dhyan mein rakh dhup hi ab tujhe jagaegi koi khidki khuli makan mein rakh