dil chhod ke har rahguzar dhundh raha hun baithe hain kahan wo main kidhar dhundh raha hun wo pesh-e-nazar hain to nazar kyun nahin aate kya mera qusur is mein agar dhundh raha hun barik-nigari ki tamanna to hai lekin milta nahin mazmun-e-kamar dhundh raha hun phukunga nasheman ki tarah apne use bhi is waste sayyaad ka ghar dhundh raha hun kahte hain jise urf mein sab subh-e-bahaaran us sham-e-judai ki sahar dhundh raha hun jamta hi nahin nok-e-mizha par koi aansu kante pe tule jo wo guhar dhundh raha hun ye jaan ke us but ka hai patthar ka kaleja ai 'barq' main lohe ka jigar dhundh raha hun