mir-o-ghaalib bane yagana bane

'mir'-o-'ghaalib' bane 'yagana' bane
aadmi ai khuda khuda na bane

maut ki dastaras mein kab se hain
zindagi ka koi bahana bane

apna shayad yahi tha jurm ai dost
ba-wafa ban ke be-wafa na bane

hum pe ek e'tiraaz ye bhi hai
be-nawa ho ke be-nawa na bane

ye bhi apna qusur kya kam hai
kisi qatil ke ham-nawa na bane

kya gila sang-dil zamane ka
aashna hi jab aashna na bane

chhod kar us gali ko ai 'jalib'
ek haqiqat se hum fasana bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close