safar ki ibtida hui ki tera dhyan aa gaya meri zamin ke samne ek aasaman aa gaya ye faisla hua meri shanakht aaina kare magar ye kis ka aks hai jo darmiyan aa gaya ajib uljhanon mein ab ke saaten guzar gain nisab yaad bhi nahin aur imtihan aa gaya hisar-e-sail-e-ab se to naw bach gai magar hawa ke hath sahilon pe baadban aa gaya nigah aur raste ke dukh to raushni se the charagh bujh gae to mera mehman aa gaya teri sada pe mujh ko lautna tha jang chhod kar magar wo ek tir jo sar-e-kaman aa gaya main baam-o-dar se puchh aaun koi aaya to nahin 'salim' raat dhal gai mera makan aa gaya