misal-e-aks kunj-e-zat se bahar raha hun main ki aap-apne muqabil aaina ban kar raha hun main ajab mausam tha jab qurbat teri sarmaya-e-jaan thi wahi mausam hai aur tark-e-talluq kar raha hun main tumhaari mushkilen aasan hui hain dubne walo! mujhe dekho ki sari umr sahil par raha hun main isi mamura-e-khwabidgan shahr-e-khamoshan mein na jaane zindagi ka swang kab se bhar raha hun main mujhe guzre hue lamhon ne itne zakhm bakhshe hain ki jo guzra nahin us lamhe se bhi dar raha hun main shikast is ko kahun ya fath-mandi kah ke khush ho lun ki altaf-e-raqiban se bhi bahra-war raha hun main dar-o-diwar o saqf-o-baam sab apni jagah par the to phir kya baat thi jis ke sabab be-ghar raha hun main teri khatir jo meri khud-fareb aankhon ne dekhe the unhin tute hue khwabon ka nauhagar raha hun main bahut din baad kuchh an-dekhe khwab utre hain aankhon mein siyah khane mein kya kya shama raushan kar raha hun main ajab ahwal hai dasht-e-talab mein khud-farebi ka ki thak kar gir chuka hun rah bhi tai kar raha hun main ye lamha lamha zinda rahne ki khwahish ka hasil hai ki lahza lahza apne-ap hi mein mar raha hun main isi nisbat se badhti ja rahi hai tishnagi meri ki jis surat se jam-e-umr khali kar raha hun main