dil se kah aahen na har aan bhare kuchh jigar ho to dam insan bhare khwahishon ko main karun kya ai sabr ghar mein muflis ke hain arman bhare hum to mizhgan ki namat ham-chashmon khali hath aae hain arman bhare ashk dana hai to nazron se na gir daman is dhabbe se nadan bhare zabt roke na to dikhlaun aankh pal mein pani abhi tufan bhare chashm-e-ushshaq ke bar ro mat aa ai sadaf dur ne tere kan bhare gar wo but nam-e-khuda goya ho kalima ka dam na musalman bhare fauj alfaz ki bharti hai 'nasim' sher par kun se hain diwan bhare