misal-e-barg main khud ko udana chahti hun hawa-e-tund pe maskan banana chahti hun wo jin ki aankhon mein hota hai zindagi mein malal usi qabile se khud ko milana chahti hun jahan ke band hain sadiyon se mujh pe darwaze main ek bar usi ghar mein jaana chahti hun sitam-shiar ki chaukhat pe adl ki zanjir bara-e-dad-rasi ab hilana chahti hun na-jaane kaise guzarungi hijr ki saat ghadi ko tod ke sab bhul jaana chahti hun masafaton ko mile manzil-e-talab 'nainan' wafa ki rah mein apna thikana chahti hun