misal-e-khak kahin par bikhar ke dekhte hain qarar mar ke milega to mar ke dekhte hain suna hai khwab mukammal kabhi nahin hote suna hai ishq khata hai so kar ke dekhte hain kisi ki aankh mein dhal jata hai hamara aks jab aaine mein kabhi ban sanwar ke dekhte hain hamare ishq ki miras hai bas ek hi khwab to aao hum use tabir kar ke dekhte hain siwae khak ke kuchh bhi nazar nahin aata zamin pe jab bhi sitare utar ke dekhte hain ye hukm hai ki zamin-e-'faraaz' mein likkhen so is zamin mein hum panw dhar ke dekhte hain