shab dhali meri aur sahar na hui had hui aap ko khabar na hui aap kahte the pur-khatar jitni sakht utni bhi rahguzar na hui rah gaya dard dil ke pahlu mein ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui waqt-e-akhir khula hai ye uqda bholi surat bhi be-zarar na hui kya se kya kah rahe hain aap 'siraj' aap ki baat barwar na hui