misal-e-sada-waraq tha magar kitab mein tha wo din bhi the main tere ishq ke nisab mein tha bhula chuka hai tu ek bar mujh se aa kar sun wahi sabaq jo kabhi tere dil ke bab mein tha jo aaj mujh se bichhad kar bade sukun mein hai kabhi wo shakhs mere waste azab mein tha usi ne mujh ko gham-o-soz-e-jawidan bakhsha wo ek chand ka tukda sa jo naqab mein tha mera wajud mujassam khulus tha 'nasir' main phir bhi bargah-e-husn ke itab mein tha