misal-e-sang khada hai usi hasin ki tarah makan ki shakl bhi dekho dil-e-makin ki tarah mulaemat hai andhere mein us ki sanson se damak rahi hain wo aankhen hare nagin ki tarah nawah-e-qarya hai sunsan sham-e-sarma mein kisi qadim zamane ki sar-zamin ki tarah zamin dur se tara dikhai deti hai ruka hai us pe qamar chashm-e-sair-bin ki tarah fareb deti hai wusat nazar ki ufuqon par hai koi chiz wahan sehr-e-nilmin ki tarah 'munir' ahd hai ab aakhir-e-masafat ka ki chal rahi hai hawa baad-e-wapsin ki tarah