nimcha yar ne jis waqt baghal mein mara jo chadha munh use maidan-e-ajal mein mara mal jab us ne bahut radd-o-badal mein mara hum ne dil apna utha apni baghal mein mara us lab o chashm se hai zindagi o maut apni ki kabhi pal mein jalaya kabhi pal mein mara khinch kar ishq-e-sitam-pesha ne shamshir-e-jafa pahle ek hath mujhi par tha azal mein mara charkh-e-bad-bin ki kabhi aankh na phuti sau bar tir nale ne mere chashm-e-zuhal mein mara ajal aai na shab-e-hijr mein aur hum ko falak be-ajal tu ne tamanna-e-ajal mein mara ishq ke hath se ne qais na farhad bacha is ko gar dasht mein to us ko jabal mein mara dil ko us kakul-e-pechan se na bal karna tha ye siyah-bakht gaya apne hi bal mein mara kaun fariyaad sune zulf mein dil ki tu ne hai musalman ko kafir ke amal mein mara urs ki shab bhi meri gor pe do phul na lae patthar ek gumbad-e-turbat ke kanwal mein mara aankh se aankh hai ladti mujhe dar hai dil ka kahin ye jae na is jang-o-jadal mein mara hum ne jaana tha jabhi ishq ne mara us ko tesha farhad ne jis waqt jabal mein mara na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib 'zauq' yaron ne bahut zor ghazal mein mara