misal-e-sang pada kab tak intizar karun pighalne mein jo rawani hai ikhtiyar karun khabar nahin wahan tu kaun se libas mein ho main kaise aalam-e-pinhan ko aashkar karun ba-rang-e-mauja-e-khushbu uda uda phire tu main apne qurb se kyun tujh ko zer-e-bar karun main dekhta hun use kaise kaise rangon mein kashid-e-rang karun aur bar bar karun wo ek bar bhi mujh se nazar milae agar to main use bhi koi mehrban shumar karun jo tu gaya hai to main bhi chala gaya goya aur ab bhi dasht-e-tahayyur mein khud ko khar karun yunhi to main 'zafar' is haal ko nahin pahuncha fareb de jo mujhe us pe e'tibar karun