ye zad-e-rah kisi marhale mein rakh dena koi gulab mere raste mein rakh dena jo bahs chahiye fan par to istiara koi kisi radif kisi qafiye mein rakh dena jo naqsh naqsh-e-mohabbat tha mit chuka dil se charagh ab ye kisi taqche mein rakh dena guzar lunga kisi tarah hijr ki raaten koi kahani mere hafize mein rakh dena baghaur dekhna chehron ka rang utarte hue mere hunar ki chamak aaine mein rakh dena main aap-apna sitara hun apni gardish hun mera nujum mere zaiche mein rakh dena main dekhun kya hai mera tutna bikharna 'ramz' mujhe utha ke kisi zalzale mein rakh dena