misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata kabhi khayal mein mu-e-kamar nahin aata hamare aib ne be-aib kar diya hum ko yahi hunar hai ki koi hunar nahin aata muhaal hai ki mere ghar wo raat ko aae ki shab ko mehr-e-darakhshan nazar nahin aata tamam khalq mein rahti hai dhup raaton ko wo mehr baam se jab tak utar nahin aata muhaal hai ki jahannam mein khuld se jaen jo dar par aap ke jata hai ghar nahin aata hamari zist mein the sath kaun kaun ai 'barq' ab ek fatiha ko qabr par nahin aata