zehn par jab dard khamoshi ki chadar tanta hai qatra qatra aankh se lafz-o-maani chhanta hai har kas-o-na-kas ko ras aati nahin aawaragardi raste us par hi khulte hain jo chalna jaanta hai naqsh-e-parina hata kar main nae paikar tarashun kuza-gar kankar hata kar jaise mitti santa hai wo hai diwana use gumnami o tashhir se kya khamushi se kar guzarta hai jo dil mein thanta hai kor-chashmi ne bikhera husn ka shiraaza warna ishtihaari jism bhi poshidgi ko manta hai ye sila bhi kam nahin 'azim' teri mashq-e-sukhan ka koi ghazlon ke hawale se tujhe pahchanta hai