mishal-ba-kaf kabhi to kabhi dil-ba-dast tha main sail-e-tirgi mein tajalli-parast tha har ek kamand arsa-e-afaq hi pe thi lekin buland jitna hua utna past tha thi hausle ki baat zamane mein zindagi qadmon ka fasla bhi yahan ek jast tha bikhre hue the log khud apne wajud mein insan ki zindagi ka ajab bandobast tha marne ke baad azmat o shohrat se faeda lekin jahan tamam hi murda-parast tha sarmaya-e-hayat the kuchh naqd-e-dagh-e-dil sach baat to hai ye ki bahut tang-dast tha arz-e-niyaz-e-shauq se tha be-niyaz dil mulk-e-hawas mein 'ashk' akela hi mast tha