bunden padi thin chhat pe ki sab log uth gae qudrat ke aadmi se ajab silsile rahe wo shakhs kya hua jo muqabil tha! sochiye! bas itna kah ke aaine khamosh ho gae is aas par ki khud se mulaqat ho kabhi apne hi dar pe aap hi dastak diya kiye patte uda ke le gai andhi hawa kahin ashjar be-libas zamin mein gade rahe kya baat thi ki sari faza bolne lagi! kuchh baat thi ki der talak sochte rahe har sansanati shai pe thi chadar dhuen ki 'raaz' aakash mein shafaq thi na pani pe daere main ne ghazal kahi hai 'munawar' magar kahan! puchhega 'raaz' kaun! miyan sher kuchh kahe?