misl-e-abr-e-karam hum jahan bhi gae dasht ke dasht gulzar bante gae zard chehre the jhulse hue dhup se tazgi pa ke gulnar bante gae jitna bahta gaya zindagi ka lahu aur hote gae hausle surkh-ru sahl hoti gai manzil-e-justuju raste aur hamwar bante gae kuchh safar ki thakan se badan chor tha kuchh zamin sakht thi aasman dur tha kuchh teri zulf ke sae bhi the ghane phir yahi sae diwar bante gae lakh aawara o aabla-pa sahi manzilen to hain qadmon se lipti hui wo hamin hain ki jab dhun samai kabhi barq-pa nur-e-raftar bante gae awwal awwal thin rahen badi pur-khatar kaun tha juz gham-e-dil sharik-e-safar phir jo padne lagi manzilon par nazar dost dushman sabhi yar bante gae hum bhi thahre 'mujib' ek shorida-sar jab na paya koi qadr-dan-e-hunar aap apne junun ke sana-khwan hue aap apne parastar bante gae