mere honton pe tere nam ki larzish to nahin ye jo aankhon mein chamak hai koi khwahish to nahin rang malbus hue lams hui hai khush-bu aaj phir shahr mein phulon ki numaish to nahin ek hi sans mein dohrae chale jate hain ye mohabbat kahin alfaz ki warzish to nahin dekhta rahta hun chup-chap guzarte baadal ye talluq bhi koi dhup ki barish to nahin tum kabhi ek nazar meri taraf bhi dekho ek tawaqqo hi to hai koi guzarish to nahin mil bhi jaen kahin aankhen to marammat na karen hum mein aisi koi talkhi koi ranjish to nahin