miT nahin sakta qayamat tak nishan-e-arzu

mit nahin sakta qayamat tak nishan-e-arzu
husn jism-e-arzu hai ishq jaan-e-arzu

wo sunen sine se lag kar dastan-e-arzu
dil ki har aawaz hoti hai zaban-e-arzu

be-khudi ki manzilon mein sarf-e-hairat ho gaya
dil ki le de kar bacha tha ek nishan-e-arzu

be-qarari be-khudi bechaargi diwangi
hain ye unwanat-e-zeb-e-dastan-e-arzu

ho chuki roz-e-azal wabastagi-e-huns-o-ishq
ek jaan-e-arzu hai ek jahan-e-arzu

un ki duzdida nigahon mein ye kya eajaz tha
ji uthe ek-bargi sab kushtagan-e-arzu

ho chale un ke lab-e-nazuk tabassum-ashna
barq se kab tak bachega aashiyan-e-arzu

zindagi mere liye 'talib' saza-e-ishq hai
meri hasti hai mujassam dastan-e-arzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close