purana qissa tamam karna padega us ko nae taqazon pe kaam karna padega us ko wo khalwaton mein agar kisi ko pukarta hai to apna uncha maqam karna padega us ko agar wo aiwan-e-ashiqi se juda hai to phir khud apna bhi ehtiram karna padega us ko sab apni apni riwayaton ko bhula rahe hain kuchh aur rasmon ko aam karna padega us ko usi ki nigraniyon mein hain ab ye bastiyan bhi yahan bhi kuchh din qayam karna padega us ko wo chahta hai agar bulandi bani rahe to hawa ko apna ghulam karna padega us ko agar nigahon mein aafiyat hai to sehn-e-dil mein jo kuchh hai khwabon ke nam karna padega us ko suna hai 'rahat' koi qayamat hai aane wali abhi se kuchh intizam karna padega us ko