mita sa harf hun bigdi hui si baat hun main jabin-e-waqt pe ek naqsh-e-be-sabaat hun main bata basit zamane hai kya yahi insaf jo hai adu-e-numud-e-sahar wo raat hun main guman ye tha ki hun markaz-e-hujum-e-nigah yaqin ye hai ki mahrum-e-iltifat hun main hai kis gunah ki syahi meri ghalat-fahmi main jaanta tha ki ruh-e-tajalliyat hun main har aah-e-sard hai uftad-e-ashk ki tafsir ukhad chale hain qadam waqf-e-hadsat hun main padhun shikast-e-azaem ka marsiya kab tak na jaane kab se sipurd-e-muqaddaraat hun main ye sab durust magar phir yahi kahunga 'siraj' khud ek zamana hun khud ek kaenat hun main