nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren

nai paud ke soch-mahal mein utthin nai nai diwaren
jaise ghar wale waisa ghar jaisa ghar waisi diwaren

kis se gila karen wo ya main aakhir ranj niji hota hai
us tak us ki rah ki mitti aur mujh tak meri diwaren

kai baat to ghar mein lete lete dam ghutne lagta hai
aage pichhe badhti ghatti rahti hain ghar ki diwaren

har din hum banjaron aisa koi safar kar ke dekhe to
panw tale dhansti si dharti kandhon par pakki diwaren

mujh ko hattyara mat kahna mera lahu hai un hathon par
jin hathon par rok raha hun chaar-taraf girti diwaren

lakh badalna chaho lekin man ko man kahte banti hai
mitti wahi wahi hai dharti badal gain pichhli diwaren

'ashk' koi hai mujh mein jo din chadhte chadhte dah deta hai
raat gae tak chuni hui be-hangam mitti ki diwaren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close