mithe chashmon se khunuk chhanw se dur zakhm khulte hain tere ganw se dur sang-e-manzil ne lahu ugla hai dur hum baadiya-paimaon se dur kitni shamen hain asir-e-fanus kitne yusuf hain zulekhaon se dur kisht-e-ummid sulagti hi rahi abr barsa bhi to sahraon se dur jaur-e-haalat bhala ho tera chain milta hai shanasaon se dur jannat-e-fikr bulati hai chalo dair-o-kaba se kalisaon se dur raqs-e-ashufta-saran dekhenge dur in anjuman-araon se dur justuju hai dur-e-yakta ki 'shakeb' sipiyan chunte hain dariyaon se dur